Friday, 5 February 2021

QURANI MALUMAAT

PART-1

  1. Aayat-e-Bismillahhir rahmanir raheem  Quraan e paak me kul kitni jagah maoujood hai ? (114)
  2. Quraan paak kise kahte hai ?( Allah taala ki taraf se jo kalam nabi paak sallalahu alehiwassallm  par nazil hui)
  3. Quraan paak me pahli wahi kaha nazil hui aur is ke alfaz kya they ?(Gaar e hira me nazil hui , pahli   wahi ke alfaz-  Iqra bisme rabbikal lazi khalaq )
  4. Nabi-e kareem sallalahu alehiwassallam par sab se pahle koun se surah nazil hui ? (Surah Alaq  )
  5. Quraan paak me kitni surat-e- makki aur kitni madni hai ? (82 makki aur 32 madni hai )
  6. Quraan paak me kitne pare hai? (30 pare)
  7. Quraan paak me kitne sajde hai ?(14)
  8. Quraan paak me kul kitni surate hai? (114)
  9. Qurran paak me kul kitne ruqu hai ? (558)
  10. Quraan paak me kul kitni aayat hai ? (6236 kanjul imaan )
  11. Quraan paak me kul kitne kalmaat hai ? (86430) 
  12. Quraan paak me kitne zabar  hai ? (53223)
  13. Quraan paak me kitne zer hai ? (39586)
  14. Quraan paak me kitne pesh hai ? (8804)
  15. Quraan paak me kul kitne nukte hai ? (105684)
  16. Quraan paak me kisne tashdeed ,hamza ,aur madd lagaye ?(Khaleel bin Ahmad basari)
  17. Quuran paak me kitni madde istemal hui h ? (1071)  
  18. Quraan paak me kitni shadde istemal hui h ? (1274)
  19. Nabi-e-paak sallalahu alehi wassallam jab hizrat ke liye ghar se rawana huye to kon si surah tilawat farma rahe they ? (surah Yaseen )
  20. Wo kon si surah hai jise Quraan ka dil kahte hai ? (surah Yaseen)
  21. Quraan paak me Allah taala ke kitne naam aye hai ?  (99) 
  22. Quraan paak kis month me nazil hui ? (Ramdan me )
  23. Quraan paak kis muqaddas raat me nazil hui ? (Lailatul qadr me)
  24. Quraan paak ki sab se badi surah kon se hai ? (surah Baqrah)
  25. Quraan paak me kitni manzile hai ? ( 7 )
  26. Surah Baqrah me Hazrat-e-Aadam alehissalam ka zikr kitni martba aya hai ? (5 martaba )
  27. Surah Baqrah me kitne ambiya ka zikr aya hai ? ( 8 )
  28. Quraan paak kis huruf se shuru aur kis par khatm hota hai ?  (Alif se shuru aur Seen par khatm hota hai )
  29. Momino tum par roze farz kiye gaye " is ka zikr quran paak ki kis surah me hai ? (Surah Baqrah )
  30. Hazrat-e- Jibrail alehissalam ka zikr quraan paak me kitni  jagh aya hai ? ( 3  jagh)
  31. Aourat ki shahadat ka waqiya quran paak ki kis ayat me hai ? (surah baqrah  ayat 286)
  32. Quraan paak ki taweel (lambi) ayat kon si hai ?  (ayat-al-kursi )
  33. Ayat-al- kursi  surah baqrah ki kon siayat hai ? ( ayat no. 255)
  34. Ayat-al-kursi quraan ke kis pare me hai ? (3rd  pare me)
  35. Sharab na peene ka hukm kis surah me nazil hua ? (surah mayeda)
  36. Quran paak ka pahla sajda kis surah me hai? ( surah al araf ke akhri ruku me )
  37. Jang-e badar me farishto ki amad ka zikr ki surah mubark me hai? (surah anfal)
  38. Maszid zarrar ka zikr quraan paak ki kis surah me hai? (surah touba :ayat no.108)
  39. Quraan paak ki kis surah me shahad ki makkhi (honey bee) ka  zikr hai? (surah nahal : ayat no.48 to 49)   
  40. Quraan paak me waqya meraj ka zikr kin kin surato me hai ? (surah bani israeel  aur surah najam)
  41. Ashab-e-kahaf ka zikr quraan paak ki kis surah me hai? (surah kahaf)  
  42. Ashab-e-kahaf kitna arsa gaar (cave) me soye ? (309 year) 
  43. Nijashi ke darbar me hazrat-e-jaafar tayyar ne kon si surat ki  tilawat ki ? (surah maryam)  
  44. Quarrn paak ki wo koun si surah hai jo ek khatoon ke naam pr   hai? (surah maryam)  
  45.  Quraan paak me ambiya ke naam se kitni surate hai ? ( 6 )   
  46.  Allah taala ne nabi-e-paak  sallalahu  alehi  wasslam  ko  '' rahmatullil alameen"  ke laqab se kis surat me yaad farmaya hai ?  (surah ambiya me) 
  47. Surah noor me kis ummul momineen  ki paak damni ka zikr  hai? ( hazrat ayesha siddiqa radiallahu taala anha)
  48. Hazrat-e saleh alehissalam ki utni wala mojza jo mashhoor hai wo kis surat me hai? (surah shora)   
  49. Surah qasas me kis paigambar ka tafseel se zikr hai? ( hazrat-e-moosa alehissalam ka )    
  50. Quran paak me lukmaan hakeem ka zikr aya hai  wo koun  they? (qoum-e- aad se falsafi  aur hakeem they)

       Part -2




No comments:

Post a Comment