Sunday, 24 June 2018
Wednesday, 13 September 2017
Habib Bin Malik
HABIB BIN MALIK
Jab Abu Jahal mardood Huzoor se aziz a gaya aur har mutalba me muh ki khata raha . Aur Huzoor din ba din tarakki farmane lage aur Huzoor ka shariyat bulandi hasil karne laga aur log din ba din Iman lakar zamar-e-muslemeen me ane lage to tang a kar usne ek khat (Letter) HABIB BIN MALIK ameer SHAAM ko likha. Wo khat ye tha...
"Bad salam dua ke Badshah ko maloom ho ki hamare ander ek zabardast hasti zahir hue hai jise hum (apne zaleel waham) me shahir-o-kazzab jante hai . Wo hame kahta hai ki ek rab ki ibadat karo. Aur naye deen ki hume taleem deta hai aur hamare khudao ko bura kahta hai. Aur jis qadar hum uska mukabla huzzat wa daleel se karte hai utna hi wo hum per galib a raha hai. Garz ki ab tera deen aur tere bap dada ka deen kamzoor ho chala hai. Lehaza jaldi akar usse milo warna agr uski taleem aam ho gayi to fir tu kuch na kar sake ga."Is khat ko pad kar HABIB IBN-E- MALIK 12 sawaro ke sath chala aur MAKKA ke zameen per utra . ABU ZAHAL ne MAKKA me uska istaqbal kiya . Aur kuch hadiya peshkash kiye . HABIB ne ABU ZAHAL se HUZOOR ke halat daryaft kiye. To ABU ZAHAL ne kaha "Sarkar bni hashim ke logo se unke halat dariyaft farmay" . To sab ne kaha ...
" Hum unhe bachpan se sadiq wa ameen jante hai magar jab wo 40 saal ke hue to unhone hamare maboodo(Khuda) ki madammat shuru kar di aur ek naya deen hamare baap dada ke khilaf zahir kar dala ."
Garz ki habib ne apne hazb(naukar) ko hukm diya ki HUZOOR ko yaha tashreef lane ki darkhwasht kare . Jab Hazab HUZOOR ke darbar me pahucha aur HABIB BIN MALIK ki darkhwash pesh ki HUZOOR tashreef le jane ko amada hue . Hazrat ABU BAKAR SIDDQUE ne jhubba sharif aur amama sharif pesh kiya . HUZOOR ne phana aur tashrif le chale
SIDDIQ bhi HUZOOR ke sath sath dahine taraf chal rahe the. Aur Hazrat KHATEEZA radiallahu tala anha bhi piche piche aye . HABIB BIN MALIK ne HUZOOR ko zalwa afroz hote hue dekha to fauran tazeem ke liye khada ho gaya . Jab HUZOOR masnad per tashreef farma ho gay to HABIB ne HUZOOR ka chara-e-anwar dekha aur uske dil per HUZOOR ki haibat is kadar galib hue ki zaban band ho gai . Thodi der bad HABIB bola...
'''HUZOOR aap ko maloom hoga ki tamam nabi kuch na kuch moazazat laye they. Aap ke paas bhi koi moazazah h.
HUZOOR ne farmaya aye HABIB tamam ambiya to makhsoos moazazat laye they magar ham kisi khas moazazah ke sath nhi aye balki jo tu chahe wo moazazah hum zahir farma sakte h .
HABIB ne jawab sun kar bade gor ke baad wo moazazah talab kiya jo kisi nabi se zahir na hua tha . Arz krne lga ...
Me ye chahta hu ki abhi suraz doob jaye aur chand nikale fir use aap zameen pr utare aur us ke do tukde kre . Fir woh asman pr jakr roshan ho jaye . Fir uske baad suraz wapas aye .
HUZOOR ne is mutalba ko nihayt be prwahi se suna aur HABIB se farmaya '' Agar hum ne aisa kr diya to kiya tu fir imaan le ayega . HABIB ne dekha ki itne sakht mutalba par bila kisi uzr ke amadgi ka izhaar farma rahe h . To ek do apni khas arz bhi kyu na arz kar lu . Bola ... Beshak lekin ek shart ar ye h ki jo mere dil me h uski bhi khush khabri sunayi jaye .
HUZOOR zabzl abi qais par tashreef le gye aur do rakat abdiyat ada farmaya aur dua ki ki ZIBREEL AMEEN hazir huye ar HUZOOR ko bashart di ki HUZOOR ALLAH TAALA ne aap ke liye suraz chand raat din aapke liye bnaye h aur HABIB BIN MALIK ki ek ladki h , jis ke na haath hai na pair na ankh na kaan use bashart dijiye ki ALLAH TAALA ne teri ladki ke haath pair sab ata farma diye hai .
Jab huzoor pahad se neeche utre aur ZIBREEL AMEEN hwa me huzoor ke huqam ke muntazir they aur malayka saf basta is shan ka tmasha dekh rahe they ki HUZOOR sallaho taala alihi wasallam ne apni shahadt ki ungli ka isharah suraz ki taraf kiya woh apni jagah se hila aur gayab ho gya aur sakht zulmat fail gyi aur itne me chand nikla aur HUZOOR ne us ki taraf isharah farmaya to chand bhi hilne lga , yaha tak ki zameen ki taraf aya .HUZOOR ne uske do tukde keye . Phir suraj tulu hua aur usi halat par aa gaya. HABIB ne arz kliya HUZOOR ek shart abhi baki hai .HUZOOR ne farmaya .....Teri beti jo bimar hai ALLAH TAALA ne uske aaza wapas lauta deye hai . Ye sun kar HABIB BIN MALIK ne khade ho kar kha ....Ae ahle makkah ab kufr islam ke baad nahi rah sakta suno me gawahi deta hun ke koi mabood nahi magar ALLAH aur MOHAMMAD sallal lahu taala alihi wasallam iske khas bande aur RASOOL hai .Ye sun kar abu Jehel jal gaya ar kehne laga HABIB is jadu bhari nighah ka tu bhi shikar ho gaya. HABIB ne iska jawab khamoshi se diya aur yha se khush ho kar apne mulk Shaam chala gaya. Jab mahal me dakhil hua to uski wahi beti samne aai aur keh rahi thi... '''Ashhadu anla lailaha ilallahu wa anna mohammadan abduhu wa rasooluhu'''' HABIB kehne laga beti tune ye kha se jana .Usne kha khwab me kisi ne mujhe kha ki tera baap islam le aya hai agar tu bhi musalmaan ho jaye to abhi tere aza tujhe mil jaye . Turant musalmaan hui ar subh is haal me thi jaisa ki aap mujhe dekh rahe hai. SUBHAN ALLAH
Saturday, 30 July 2016
Hazrat-e-Suleman (Alehissalam) Aur Parinde
Hazrat-e-Suleman (Alehissalam) Aur Parinde
Ek
roz Hazrat-e-Suleman Alehissalam ne sare parindo ko huqm diya ki mere darbar me
hazir ho kar har parinda bataye ki isme kya kamal hai .Chunancha
sab paride hazir huey, Mor,Kabutar,Hudhud, kawwa wagairh,her parinda hazir ho gaya . Sab apna apna kamal bayan karne lage. Hudhud ki bare ayi to isne kaha “Huzur ! Mujhe ye kamal hasil hai ki chahe
kitna ucha udta rahu aur zameen se kitni hi door ho jao, meri nazar itni teez hai ki
milo door uper se me zameen ke zarre-zarre ko dekh leta hu . Na sirf yah ki
satah zameen ki har cheez ko dekh leta hu balki zameen ke andar zaha pani ho who
bhi deekh leta hu aur fir huzur is pani ka jaika bhi malum kar leta hu ki kadwa
hai ya meetha.
Huzur!
Ap mujhe apne sath rakh liziye.Ap apne takht per tasreef farmaker hawa per sair
farmate hue jaha bhi jay mujhe sath rakhe . Me zameen per nigha rakha karunga .
Jaha bhi zameen ke ander meetha pani nazar aya karega me bata diya karunga . Ap
apna takht waha utar kar apna darbar
laga liya kijiye . ”Hazrat-e-Suleman
Alehissalam iska ye kamal sunker bahot khush hue aur farmaya:- Hamne tumhe apne sath rahne ki
izazt de di . Kawa hud hud ka ye kamal aur iski izzat afzai sun ker hasd ke mare jal bhun gaya aur kahne laga ,Huzur
ek meri bhi arz sun lijiye , Hudhud ne bilkul zhut bola hai , Isme hargiz ye
kamal nahi hai jo isne bayan kiya , Itni door asman per udte hue ager ye zameen ki satha ki cheze bhi dekh sakta
hai to shikari ke jal me kabhi na fasta , Jaal ke ander jo dana pada hota hai
isko khane ke liye kood padta hai aur
jaal ise nazar hi nahi ata , Ager itna hi ba kamal hota to ise dane ke sath
jaal me nazar a jaya karta . Hazrat-e-Suleman Alehissalam ne hudhud se farmaya ”
Suna kawwa ka itraj ? Tumhare pas iska kiya jawab hai ? ”Hudhud
ne kaha , ” Huzur ! ye hasad hai aur hasd me mere kamal ka inkar kar raha hai,
Ap mera imtehan le lijiye , mene jo Koch kaha hai ager sahi na hua to abhi mera
sar tan se zuda kar dijiye , Huzur ! Nazar to meri wakai teez hai . Lekin jab is per kaza ka parda pad jata hai to fir
mujhe jaal nazar nahi ata . Is hasad ko mere kamal per atraz karna to sujha
lekin ise taqdeer wo kaza ki haqeekat na sujhi.
Friday, 29 July 2016
Ek Khobsoorat Aourat Aur Hazrat JUNAID
Ek Khobsoorat Aourat Aur Hazrat JUNAID
Ek aourat hazrat JUNAID bagdadi
alehirehma ke pas akar kahne lagi , mera
shohar dosra nikah karna chahta h .Aap ne farmaya agar is waqt us ke nikah me
char aourte nahi hai to ise dosra nikah jayaz
hai . Aourat ne kaha , aye JUNAID agar gair mard ko aourto ki taraf
dekhna jayaz hota to me apna chehra khol kar aap ko dikhati ki aap mujhe dekh
kar kahte ki jis ke nikah mere jaisi khobsoorat aourat ho ise mere siwa dosri
aourat ki taraf ragbat karna layak hai ki nahi ? Hazrat JUNAID alehirehma aourat ki
guftogo sun kar behosh ho gye . Jab hosh me aye to kisi ne iska sabab pucha .To
farmaya ,mere zahen me is waqt ye khayal aya ki haq taala fermata hai ,agar
duniya me kisi ko dekhna jayaz hota to me apna hizab utha kar is par zahir ho
jata ki wo mujhe dekhta fir is waqt maloom hota ki jis ka mujh jaisa rab ho is
ke dil me mere gair ki mohabbat honi chahiye ki nahi ?
( Nazhatol Mzalis ,page no 45,jild:1)
SABAQ
Sachcha musalman wo hai jo apne dil me khuda ki mohabbat rakhe aur is ke gair yani but wagairah duniya ki mohabbat dil me na ane de .Isi ke rasool ki itaat kre . Isi ke nizam ko apnaye aur isi ke ahkam par chale .
Sunday, 19 June 2016
Sadq-e-Jariya
Sadq-e-Jariya
Hazrat-e-Ibne Shakheer bahut bade bujrug they , khwab dekha ki
qabrastan fata aur qabro se murde nikle aur kuch chunne lage . Un me se ek admi
ja kar darakht (Tree) pe teek laga ke baith gaya . Aap uske pas gay aur kaha bhai
ye kiya mazra hai ?
Usne jawab diya ye hum musalman jo pahle mar chuke hai wo
hai, aur ye jo chun rahe hai wo sawab hai , jo log unko pahucha rahe hai .
To buzrug ne kaha ki
tu kyu nahi chunta(uthata). Usne kaha ki mera hisab thok ka hai ,
mujhe bahot milta hai .
Aap ne kaha kaise milta hai ?
Kaha mera beta hafiz-e-quran hai . Ek quran rozana pad ker
baksh deta hai , Mujhe ye chunne(uthane) ki zaroorat nahi padte.
Buzrug ne kaha ki kiya karta hai tera beta ?
Kaha mera beta
fala bazar me mithai ki dukan
karta hai . Subha aakh khuli to ap waha gay. Dekha ek nojawan badi khubsoorat
dadhi wala , bada noorani chehra , apna saman bhi bech raha hai aur sath hi
sath hont (Lips) bhi hila raha hai . Unuhne kaha .Bete kiy kar rahe ho ?
Nojawan Ne kaha ji quran padh raha hun. Apne kaha kis leye
? Nojawan ne kaha .Ji mere bap ne mere upar ehsan kiya hai aur mujhe quran padhaya
aur zindagi me mere leye bahut jatan kiye . Me chahta hun ki unke ehsan ka
badla du . Is leye me rozana ek quran pad kar unko baksh deta hu .
Kai saal guzra to dubara khawab dekha wahi qabrestan ,
wahi murde , who admi jot taik lga ke baetha tha , usko dekha , who bhi sawab
chunta fir raha hai ,to buzrug ki ek dam ankh khul gayi.To subha hi subha jab
bazaar khula to aap us bazaar me gay, pucha bhai yha ek nojawan halwai tha kha
gya ?
Pata chala ki uska intekal ho gaya hai tab buzrug ko
samajh aya ki ab ki baar wo shakhs kyu chun raha tha.
Thursday, 16 June 2016
Tuesday, 14 June 2016
Monday, 13 June 2016
Sehri Aur Iftar Ki Barkate
Sehri Aur Iftar Ki Barkate
Allah tala ki farz ki hui ibadato me roza ek aisi ibadat hai ki jaha khud nafs roze dar bepanah azar aur sawab ka hamil hai . Wahi iske sehri wa iftar bhi azar wa sawab ka zariya hai balki is me Allah tala ki ata ki hui beshumar barkate poshida hai. Rasool-e-akram sallalaho alehi wasallam ka irshade pak hai ki , sehri kiya karo , kyu ki sehri me barkat hai. Ek aur jagah irshad farmaya ," Dusari qoumo aur musalmano me sehri khane ka farq hai ."
Yani dusare mazhab me sehri ka koi tasavwur nahi hai inka roza sehri ke bagair hota hai . Leki islam me roza rakhne se pahle sehri khane ki taqeed ki gai hai . Aur iska sabab ye bataya gaya hai ki pehle sehri karke qvwat hasil karo taki roze ki halat me kisi kishm ki kamzori mehasoos na ho , waise bhi hamara parwardigar asani chahta hai shakhti nahi chahta isliye ibadat me bhi asani rakhi gyi hai .
Sehri se murad munasib miqdar me woh khana peena h jo rozadar raat ke pichle pehar uth kar subah sadiq se pahle khata h . hazrat abduallah ibne abbas radiallaho se rawayat hai .
Rasool-e-akram sallalaho alehi wasallam ne farmaya " Roza rakhne ke liye sehri kha kar qowat hasil karo aur din ke waqat aram karke raat ki ibadat ke liye taqat hasil karo." (Sunan ibne maza)
Rasool-e-akram sallalaho alehi wasallam ne sehri ko babarkat karar diya hai shariyat me "babarkat " is cheez ko kahte h jis me allah taala ne apni hikamat se khair o barkat farma de ho , jaise apne paak kalam me allah taala ne quran majeed, baitullah , shab-e- qadar, zikr-e-ilahi aur pani ko "mubarak "farmaya h .
Rasool akram sallalaho alehi wasallam ne sehri me barkat hai . Ise hargiz na chodo (agar kuch mayssar na ho to) tum pani ka ek ghont hi pi liya kro ,kyu ki sehri khane walo par allah taala apni khusisi rahmat nazil farmata hai . Aur farishte inke liye dua-e-khir o barkat karte hai . Huzoor sallalho alehi wasallam khuzoor se bhi sehri farmaya karte they.Rasool-e-akram sallaho alihi wasallam ne irshad farmaya " khuzoor momin ki behtareen sehri hai ". (Imam abu daood )
Shaban ke akhiri hisse me nabi kareem sallalho alihe wasallam ne irshad farmaya "aye logo ;ek azmat wa barkat wala mahina tumhare paas aa gya jis me ek raat to hazar mahino se behtar hai . Allah ne is mahine ke roze tum par farz kiye hai aur is ki raato me ibadat ke liye khade hona behtar hai jis ne is maah me qurbe ilahi ke liye koi neki ki to is ka sawab aam dino ke 70 farz ada karne ke barabar hai aur ye sabr ka mahina h aur sabr ka badla jannat hai aur ye apasi hamdardi ka mahina h aur aisa mahina jis me musalmano ka rizq jyada kar diya jata hai .
Iftar me barkat aur rahmat poshida hai . Iftar ke waqt roze dar ki dua qabool ki jati hai .Rasool-e-akram sallalaho alehi wasallam ne farmaya "ki log hamesha khair hi me rahenge jab tak iftar me jaldi karte rahenge." ( Sahi Bukhari )
Ek aur jagha irshad farmaya " Jab tum roza kholne lago to khuzoor se iftar karo ,kyu ki khuzoor sarapa barkat hai." ( Wallah alam bissawab )
Sunday, 12 June 2016
Ramdan Me Kya Kare
Ramdan Me Kya Kare
Ramdan-ul-mubarak ka mahina hamare liye ek aisa mouka hai jis me ham apne saal bhar ke gunaho se tauba astagfar kar ke Allah se mafi talab kare aur ainda ke liye gunaho se bachne ka ahad kare aur Allah talaa ke ahkamat per amal dar amad kar ke khud ko jahannam me dakhil hone se bacha sakte hai . Balki ibadat ke zariye nekiyo aur bhalaiyo aur achchaiyo ke zariye khud ko Allah tala ki rahmat ka haqdar bana sakte hai bilashuba ye mubaraq mahina hamare liye kisi tohfe se kam nahi hai.
Ramdan-ul-mubarak me isqader ibadat aur achchaiya kare aur tauba aur mafi talab kare ki Allah tala ka dariya-e-rahmat bhi joosh me a jay isliye ki pata nahi ki agle saal hame ye muqaddash mahina mile ya na mile .
Ramdan-ul-mubarak ke dino me roza rakhe na kuch khaye na piye aur na kisi gunha ko kare . Ham roze ki halat me apne kam ko anjam de agar is dauran ham se koi jhagra kar baithe to hum uski baat ka jawab na de sirf use itna bata de ki hum roze ki halat me hai isliye jhagra nahi karenge .
Roze ko jihad bhi kaha gaya hai kyu ki is mah me ap apne nafs se jihad karte hai yani ki na sirf bhook piyas bardash karte hai balki buri bato jhagre aur jiyadti ko bhi bardash karte hai . Is mah-e-muqaddash me jin logo ko istetaat (Money) ho wo umre ke liye agar tashreef le jay to ye unke liye beintaha azar wa sawab kahaqdaar hoga.
Agar kisi ke Ramdan-ul-mubarak ke roze kisi wajah se chhoot jay to wo Ramdan-ul-mubarak ke bad roze rakh le rawayat hai ki Allah tala farmata hai ki roze dar ke roze ke dauran jo ek makhsoos boo (smell) ati hai wo Allah tala ke nazdeek mushk wa amber ki khusbo se badhkar hai.
Ramdan Barkat Aur Magfirat Ka Mahina
Ramdan Barkat Aur Magfirat Ka Mahina
Ramdan-ul-mubarak ke dosare ushre me yani dosare 10 dino me magfirat gunahao se touba astagfar aur mafi talab karne ka hukm diya hai ki wo ramdan ke dosare ushre me na sirf ibadat kare aur roza rakhe balki Allah tala se apne guzishta gunaho ,galtiyo , buraiyo se mafi mange aur inse tauba astagfar kare Allah tala ke samne khud ko sharmshar karke mafi mange aur ainda gunah se bachne ka ahad kare aur is per amal bhi kare . Allah bada maf karne wala gafurur raheem hai .
Dosare ushre ke 10 dino me aur rato me farishte awaz dete hai ki hai koi jo apne gunah mafi talab kare aur galtiyo aur buraiyo per sharsar ho . Is ushre me Allah tala ka dariya-e-rhamat imtihai josh per hota hai aur wo apne bando ke in tama, gunaho ko maaf farma deta hai jiske liye ki wo sadqe dil maafi mangte aur sharmsar hote hai khwa gunaho ki tadat asman per nikle taro ki jitni hi kyu na ho . Is ushre me kasrat se tauba wa astagfar karna chahiye .
Ramdan-ul-mubarak ka teesta aur akhri ushra jahannam me nizat ka hai . Yani hum is ushre me itni ibadat kare aur tauba astagfar kare aur Allah tala se iltaza kare ki hame jahannam me dakhil hone se bachne ki taufiq ata farmay aur hame jahannam ke dard naak azab , jahannam ki aag se mehfooz rakhe.
Ramdan Rahmato Ka Mahina
Rhamato Aur Barkato Wala Mahina
Badnaseeb hai wo shakhs jo ramdan ke mahine me bhi apne gunha na bakshwa shake . Rasoole kareem sallallaho alehiwasalllam ne bhi yahi taleem di hai ki ramdan-ul- mubarak nekiyo ka mahina hai. Barkat, rhamat aur nekiyo ko badane aur zyada se zyada nekiya kamane , sawab kamane , ibadat karne ,salato tasbeeh padne ka mahina hai. Ramdan-ul- mubarak ki muqaddas saataye aur raate hame aur her musalman ko dawat deti hai ki wo inhe ibatat me gujare aur buraiyo se bache aur nekiyo ki taraf ragbat ho kyu ki is mahine me ek neki ka 70 gunah ajar melne ki khuskhabri sunai gai hai .
Neki ye bhi hai ki kisi ko sheri ke waqat jaga de , kisi ko roza khulwa de chahe wo ek kajoor se hi kyu na ho neki ye bhi hai ki kisi ki madad kar de khwah ise road hi kyu na par karne me madad de raste ka patther katain aur kachra bhi hata dena bhi neki hai , kisi ko pani pilana ,achchi baat karna , akhlaq se pesh aana mehman nawazi karna aur iftar wa sheri karana sab nekiyo me shamil hai . Jabki ibadat aur behisab ibadat ka mahina to hai hi ramdan-ul- mubarak ka muqaddas mahina jo din ko roze rahane aur raat ko salato tasbeeh me gurarne ki dawat deta hai .
Ap sallallaho alehi wasallam ne ramda-ul- mubarak ko 3 ashro me taqseem farmaya hai . Pahla Ashrah rhamato ka dusara ashrah magfirat ka aur tistra ashrah jahannam se nezat ka kaha gay hai . Yani pahle 10 din Allah tala apne bando per apni behisab rahmate nazil farmata hai choti se choti neki ibadat achchai ka sawab 70 gunah badh kar zyda deta hai .
Farishte in 10 dino me ayr raato me dhondhte rehte hai ki koi banda jo sirf neki bhalai aur achchai ka soche woh is ka azar aur sawab apne naame amal me darz kra de .Dekheye allah tala apne bando par kis kadar meharban hai aur bando ko kis kadar chahta hai ki woh ek mamoli neki ka sawab apani 70 gunah rehmato se deta hai .
Saturday, 11 June 2016
Firoun ki beti
Firoun ki Beti ki kanghi karne Wali
Firoun k beti ki kanghi karne wali Hazrat Moosa Alehissalam per imaan la chuki thi . Ek din woh kanghi kar rahi thi ki kanghi haat se neeche gir padi . Is ke muh se beshakta nikla " Khuda ke kafi ka bura ho ."
Firoun ke beti ne pucha, Kaun se khuda ka tumne zikr kiya ? Boli , Jis khuda ka pata Moosa alehissalam ne diya hai . Firoun ki beti taish me aker boli kya tum bhi Moosa alehissalam ko manti ho aur mere abba ke khuda hone ka inkart karti ho ? Boli be shak tumhara baap jhota h . Khuda wahi h ek h jis mujhe , tujhe aur tere baap ko bhi paida kiya aur moosa alihissalam ko apna paigambar bna kr bheja . Firoun ki beti gussa me akar apne baap ke paas pahuchi aur sara qissa ise suna diya . Firoun ne is momina ladki ko bulakar pocha ki kya ye baat sach h jo mene apni baiti se suni h ?Boli bilkul sach h . Me tujhe khuda hargiz nhi manti aur Moosa alihissalam ka kalma padhti hu . Firoun ne jallad ko bula kar ise lita kar hatho aur pairo me mekhe( keele)thokwa kar ise sakht iza de. Fir iski doodh piti bachahi ko mangwa kar is ke samne lita kar huqam diya ki maa ke samne is bachahi ko zabah kar do . Ye manjar dekh kr momina be ikhtiyar cheekh uthi . Isi waqt doodh piti bachchi ko khuda ne zaban ata farmayi aur kahne lagi ,
Ay maa ; khabardar apna imaan na chodna . Sabr wa shukar se meri aur apni taqleef bardashat kar . Khuda ne jannat me tumhare liye ghar bna rakha h . Thodi der baad hum dono wha pahuch kar abdi rahat pa lenge . Chunancha zalim ne dono ko shaheed kar diya .
(Nazhatul mazalis , sfa no. 162, jild no. 1 ,bab ul jihad )
Firoun ke beti ne pucha, Kaun se khuda ka tumne zikr kiya ? Boli , Jis khuda ka pata Moosa alehissalam ne diya hai . Firoun ki beti taish me aker boli kya tum bhi Moosa alehissalam ko manti ho aur mere abba ke khuda hone ka inkart karti ho ? Boli be shak tumhara baap jhota h . Khuda wahi h ek h jis mujhe , tujhe aur tere baap ko bhi paida kiya aur moosa alihissalam ko apna paigambar bna kr bheja . Firoun ki beti gussa me akar apne baap ke paas pahuchi aur sara qissa ise suna diya . Firoun ne is momina ladki ko bulakar pocha ki kya ye baat sach h jo mene apni baiti se suni h ?Boli bilkul sach h . Me tujhe khuda hargiz nhi manti aur Moosa alihissalam ka kalma padhti hu . Firoun ne jallad ko bula kar ise lita kar hatho aur pairo me mekhe( keele)thokwa kar ise sakht iza de. Fir iski doodh piti bachahi ko mangwa kar is ke samne lita kar huqam diya ki maa ke samne is bachahi ko zabah kar do . Ye manjar dekh kr momina be ikhtiyar cheekh uthi . Isi waqt doodh piti bachchi ko khuda ne zaban ata farmayi aur kahne lagi ,
Ay maa ; khabardar apna imaan na chodna . Sabr wa shukar se meri aur apni taqleef bardashat kar . Khuda ne jannat me tumhare liye ghar bna rakha h . Thodi der baad hum dono wha pahuch kar abdi rahat pa lenge . Chunancha zalim ne dono ko shaheed kar diya .
(Nazhatul mazalis , sfa no. 162, jild no. 1 ,bab ul jihad )
**SABAQ**
Sab se badi allah ki ek neamat istakamat bhi h .Sainkdo jor o zulm hone ke ba wajood apne maslk-E-haq par date rahna bahut bada jihad h . Quran paak me allah farmata h ...
Tarjuma---
""Wo jinhone kaha rab humara Allah hai . Fir is pe qayam rahe , in par farishte itrate hain ki na dro aur na gam kro aur khush ho , Us jannat par jis tumhe wada diya jata tha "".
( Chapter..24 ,, verses..18 )
Huzoor sallalaho alihe wasallam ke sahaba aur sahabiyat ahle bait azam aur in ke sadqe me aouliya-e- kiram aur sacche musalmano me bhi istekamat payi jati h . Sahaba-e-kiram par dushmno ke intehahi mzalim hote gye magar in ka yhi naara tha ki
Jaan jaye maal-o-doulat ghar lute Daman-e-Ahmad na hatho chhute
Lekin afsos aaj kal biradri ki khushi hasil karne ke liye shariyat ko chod diya jata h .Musalman ka shewa ye hona chahiye ki ya rasool allah :mere amalse na bhai khush h na chacha khush h na baap khush h , magar me samjhta hu is ko achcha dalil ye ki aap khush hain.
Note ... Aap humre post ko padh kr comment jaror aur humari galtiyuo ki islah kare.
Friday, 10 June 2016
Rafeeq-E-Jannat
Rafeeq-E-Jannat
Hazrat Abdul wahid rahmtullah alihe farmate h , mene allah taala se teen raat ye sawal kiya , aye Allah mujhe is shaksh ko dikha dijiye jo jannat me mera rafiq ho . Irshad hua ki aye abdul wahid; jannat me tera rafiq maimoona soda hai . Mene arz kiya , wo kaha h ? Irshad hua ki wo kufa me fla qabeela me hai . Me qabeela me isi pata per gya aur logo se is naam ki aurat ka pata pocha . Logone bataya ki wo to ek majnona aurat hai , bakriya (goat) charaya karti h . Mene kaha ise dekhna chahta hu .Kaha ki fla jungle me chale jao , wo waha milegi . Me is muqam par gya .
Dekha to wo khde hokar namaz padh rahi thi aur is ke samne ek asa h aur ek oon (wool) ka kapda pahne huye h aur is kapde par likha hua h ki , ""ye na bechi ja sakti h na kharidi "".
Aur ek azeeb waqeya dekha ki bakriya bhediyo se darti nahi . Jab us ne mujhe dekha to namaz ko mukhtasr kiya aur salam fer kr kaha aye ibne zaid ;Is waqt jaoo. Ye waqt wada ka nhi hai , kal ana . Mene pocha ki tujhe kisne bataya ki me ibne zaid hu ? Kaha kya ye khabar nhi h ki hadees me aya h ki arwah lashkar (rooh ki lashkar )ki tarah ye jagh hai . Jin arwah me waha taaruf ho gya wo yaha bhi ek dosre se ulfat karte h aur jo waha ek doosre se anjan rhe , in ka yaha bhi ikhtelaf hai . Mene fir pocha ki bhediyo aur bakriyo ne apas me sulah kab kr li ? Boli jab se me ne apne moula se sulah kr li .
( Nazhatul besateen , sfa no 76 )
**SabaQ**
Nek ,pakbaz aur abida aurat goya jannat ki hoor hai . Aur woh her waqt Allah ki yad me rhati hai aur nek , pakbaz aur abd mard ki jannat me rafiq-e-hayat banegi . Aur in pakbaz arwah ka roz-e-azal hi me taruf ho chuka hota hai . Ye bhi maloom hua ki nek aurat ki neki ki barkat se bhediye aur bakriyo ki azli dushmani bhi door ho jati hai aur inki apas me sulah ho jati hai . Aur aj kal ki baz aurate to aise hoti hai ki jis ghar me gai rishtedaro me bhi dushmani paida kar deti hai . Bhai ki bhai se , Bete ko Maa se ladai deti hai . Aur jin ka azli rihsta mohabbat hota hai use bhi tod dalti hai . Goya aisi aurat jannat ki hoor nahi dozak ki dayan hoti hai .
Subscribe to:
Comments (Atom)









