Hazrat-e-Suleman
(Alehissalam) Aur Parinde
Ek
roz Hazrat-e-Suleman Alehissalam ne sare parindo ko huqm diya ki mere darbar me
hazir ho kar har parinda bataye ki isme kya kamal hai .Chunancha
sab paride hazir huey, Mor,Kabutar,Hudhud, kawwa wagairh,her parinda hazir ho gaya . Sab apna apna kamal bayan karne lage. Hudhud ki bare ayi to isne kaha “Huzur ! Mujhe ye kamal hasil hai ki chahe
kitna ucha udta rahu aur zameen se kitni hi door ho jao, meri nazar itni teez hai ki
milo door uper se me zameen ke zarre-zarre ko dekh leta hu . Na sirf yah ki
satah zameen ki har cheez ko dekh leta hu balki zameen ke andar zaha pani ho who
bhi deekh leta hu aur fir huzur is pani ka jaika bhi malum kar leta hu ki kadwa
hai ya meetha.
Huzur!
Ap mujhe apne sath rakh liziye.Ap apne takht per tasreef farmaker hawa per sair
farmate hue jaha bhi jay mujhe sath rakhe . Me zameen per nigha rakha karunga .
Jaha bhi zameen ke ander meetha pani nazar aya karega me bata diya karunga . Ap
apna takht waha utar kar apna darbar
laga liya kijiye . ”Hazrat-e-Suleman
Alehissalam iska ye kamal sunker bahot khush hue aur farmaya:- Hamne tumhe apne sath rahne ki
izazt de di . Kawa hud hud ka ye kamal aur iski izzat afzai sun ker hasd ke mare jal bhun gaya aur kahne laga ,Huzur
ek meri bhi arz sun lijiye , Hudhud ne bilkul zhut bola hai , Isme hargiz ye
kamal nahi hai jo isne bayan kiya , Itni door asman per udte hue ager ye zameen ki satha ki cheze bhi dekh sakta
hai to shikari ke jal me kabhi na fasta , Jaal ke ander jo dana pada hota hai
isko khane ke liye kood padta hai aur
jaal ise nazar hi nahi ata , Ager itna hi ba kamal hota to ise dane ke sath
jaal me nazar a jaya karta . Hazrat-e-Suleman Alehissalam ne hudhud se farmaya ”
Suna kawwa ka itraj ? Tumhare pas iska kiya jawab hai ? ”Hudhud
ne kaha , ” Huzur ! ye hasad hai aur hasd me mere kamal ka inkar kar raha hai,
Ap mera imtehan le lijiye , mene jo Koch kaha hai ager sahi na hua to abhi mera
sar tan se zuda kar dijiye , Huzur ! Nazar to meri wakai teez hai . Lekin jab is per kaza ka parda pad jata hai to fir
mujhe jaal nazar nahi ata . Is hasad ko mere kamal per atraz karna to sujha
lekin ise taqdeer wo kaza ki haqeekat na sujhi.
No comments:
Post a Comment