Tuesday, 7 December 2021

ALLAH SE JUDNE KA SAFAR

 ALLAH  SE  JUDNE  KA  SAFAR

Hum tanha kyu hote hai???

Is duniya me koi shakhs itna hi preshan hai jitna is ki nazar me duniya ki ahmiyat hai.  Preshan hai ???logo ke raviye se, muamlaat se, gamgeen hai??? logo ne apko chor diya hai???Pareshan hai ane wala waqt aur bhi mushkil hoga???

Aiye apni therapy khud karte hai.

Kabhi aap sahi hote hai kabhi aap galat hote hai lekin log wahi dekhte hai jo dekhna chahte hai. ALLAH subhanhu taala aap ka dil dekhta hai aur us me mujood taqwa. 

Kabhi aap khta karte hai kabhi aap par iljaam lagaye jate hai log na to khtakaar ko muaaf karte hai aur na hi aap ki sfaaiyo ko samjh pate hai.....

ALLAH subhanahu taala aap ki muafi mangne se pahle hi aap ko muaf kar deta hai wagar na touba ki tufeeq kaise milti?? Is baat ko you samjhe......

Touba to asal me nidamat hai .Jis ghadi aap ke dil me kisi baat se nidamat ayi isi lamhe  ALLAH aapko muaf  kar ke touba ki toufeeq deta hai.....

Aur kabhi you bhi hota hai ki halat ki sakhti aap ko kisi purane gunah ki yaad dilati hai. Jis ki islaah ke kai zmane guzar chuke ho fir aap is gunah ko yaad kar ke rote ho ???Jante ho fir kya hota hai ALLAH us ki jagah nekiya likh deta hai, jitna aap maazi pe tadap tadap kar rote hai aur ALLAH ki taraf neki ke irade se palat te hai aap ki nekiya badhti jati hai .  

Jante hai log aap ko dukh kyu dete  hai ???  Batee  kyu sunate hai??? Dil kyu dukhate hai ??? Kyuki  hum duniya aur duniya ke logo ke beech itne khush aur pur musarrat rahne lagte hai ki hum ALLAH ko bhool jate hai.... Fir kya hota ???ALLAH jo hum sab se zyada mohabbat karta hai hume apni taraf paltne ki "call" deta hai ....

 Hume inhi rishto  se todta hai jin ki mohabbat me hum ALLAH ko bhool jate hai, mukammal taur par nhi lekin kam az kam apni namazo se gafil ho jate hai fir ALLAH jab hume humare apno ke raviyo se azmata hai to humari namaze khushu wali ho jati hai ....Sajde bhi lambe ho jate hai , azkaar bhi badh jate hai to logo ke dukh wale raviye ruju e ilahi ki "call" hoti hai...Jante ho hum logo ke beech rah kar bhi tanha kyu ho jate hai, taaki hum apne rab ko apni tanhayi ka sathi bna le kuch us ki maan le kuch apni manwa le aur us ke ho jaye.  



8 comments:

  1. Mashallah..bahot khoob bahot achha kam kar rahi ho aap ...ye aap nahi aap se mera Rab ye kam le raha h... allah jise chahta h apna kam usse le leta hai...

    ReplyDelete
  2. Allah khoob nawaze aapko ..
    Allah salamat rakhe aapko panjatan pak k sadke...aap Allah ke liye apna time kharch kr rhe h Apko Allah iska azr jaroor dega..

    ReplyDelete