Mallika-E-Saba Bilkees
Mulke Yaman ke ilaka saba ki mallika Bilkees bahot badi hukmaran thi aur use saltanat ke sab sajo saman hasil they aur uska jo takhat tha bahut bada tha.Sone aur chandi ka bana hua tha aur bade -bade qeemti jawaharat se jada hua tha.Ye takhat 80 gaz lamba 40 gaz choda aur 30 gaz ucha tha . Ye zamana Hazrat Sulemanm alehissalam ka tha .
Hazrat-e- Suleman alehissalam ne ik roz apne darbar me hud-hud parinde ko mojud na pakar farmaya ki hud- hud ki gair hazri per me ise saza dunga warna koi maqool uzr bayan kare . Thodi deer ke bad hud hud bhi agaya aur isne mallika saba bilkees ka haal bayan kiya ki wo bahot badi hukmaran hai .
Iske pas ek bada umda aur bhari takht bhi hai .Jis per wo baethti hai mager hai wo mushrika .Wo aur iske riyaya ke log suraj ki pooja karte hai .Aur Allah ko sajda nahi karte.
Hazrat Suleman alehissalam ne hud hud ki guftugu sunkar mulke saba Bilkees ke nam ek khat likha jiska unwan ye tha .
( Tarjuma :- "Beshaq wo suleman ki taraf se hai aur beshak wo Allah ke nam se hai jo nihayat maherban raham wala hai-tum mere pas musalman banker hazir ho jao aur taqabbur na karo ").
Hud hud ye khat lekar saba me ja pahucha aur mulke saba Bilkees ke takht per jaker dal diya. Bilkees ne pada to ghabra gyi aur apne arkan daulat se zikr kiya ki lo ye khat pado aur apni ray bayan karo aur batao ki suleman ke pas jau ye na jau . Inhone kaha hum to bade qawi ladne wale log hai . Suleman se hame koi khatra nahi . Ta hum apki jo ray ho wahi thik hai .
Bilkees aqalmand thi. Isne kaha ,ladai ka anjam bura hai . Agar wo galib agaya to ulat pulat kar dega . Ijjat daro ko jaleel ker dega kyuki badshaho ke yhi dastoor hai . Sulah kar leni bhetar hai . Awwal martaba to iske pas jana bhetar nahi . Maslehat isme hai ki phele kuch thofa de kar ilchiyo ko bheja jay . Isse suleman ki puri kaifiyat malum ho jaygi . Ye baat sab ko pasand aai .
Aur bade bade besh qimat hadiye dekar ilchiyo ko bheja taki suleman iska mal dekh kar narm ho jay . Bilkees ki yeh bhool thi kuyki suleman alehissalam to Allah ke paigambar they . Inka maqsad to is suraj ki pooja karne wali mallika ko islam me lana aur burai se bachana tha . Isliye iski ailchi jab besh qimat hadiye de ker suleman alehissalam ke pas pahuche to ap ne inko kuch bhi khatir me na laker ye farmaya ki Allah ka diya mere pas sab kuch hai .
Ase hadiyoo se tum khush ho jao ja ker usse kha do ki wo musalman banker hazir ho warna me aisa bhari lashker bhejunga ki jiska koi mukabla na kar sakega aur me unko waha se zalil wa khar karke nikal dunga.Ailchi to idhar rawana hue aur udhar Hazrat suleman alehissalam ne apne darbariyo se kaha ki tum me se hai koi Bilkees ke ane se phale mere pas iska takht uta lay .
Ek bade qawi jin ne kaha huzoor me wo takht apke darbar se rukhsat hone se pahle leata hu. Ek dusare darbari ne jo kitab ka ilm rakhta tha kaha huzoor me iska takht apke palak jhapkne se pahle le ata hu .Chunancha palak jhapakte hi isne wo takht laker suleman alehissalam ke samne khada kar diya .Uske bad Bilkees jab darbar suleman me pahuchi to apne se phele waha apna takht dekhker heran rha gyi . Aur khane lagi ,Huzur ! Hame to pahle hi malum ho gaya tha ki ap bade takatwar aur khuda ke burgazida hai . aur phir kahne lagi .
"Aye mere rab mene apne nafs per julm kya tha aur ab me suleman ke sath Allah ki hukm bardar (Musalman) hoti hu jo sare jahano ka rab hai ".
( Quran majeed tafseer haqqani sfa no, 290 jild 5 )
Iske bad Hazrat Suleman alehissalam ne Bilkees se nikha farma liya .
( najhtul mazalis sfa 444, jild 2)
Subhan allah
ReplyDeleteSubhan Allah
ReplyDelete